Shri Satyanarayan Vrat Katha Doosra Adhyaya
Shri Satyanarayan Vrat Katha
Doosra Adhyaya
Sutji boley "Hey Rishyo! Jisne pehle samay mein is vrat ko kiya hai uska itihaas kehta hoo, dhyan se suno." Sunder Kashipuri nagari mein ek ati nirdhan Brahman rehta tha. Vah bookh aur pyaas se bechain hua nitya hi prithvi par ghumta tha. Brahmano ko prem karne wale Bhagwan ne Brahman ko dukhi dekhkar, boodey Brahman ka roop dhar uske paas jaakar aadar ke saath poocha, "Hey Vipra! Tu nitya dukhi hua prithvi par kyo ghumta hai? Hey shreshta Brahman! Yeh sab mujse kaho, mein sunana chahata hoo." Brahman bola "Mein nirdhan Brahman hoo, biksha ke liye prithvi par firta hoo. Hey Bhagwan, yadi aap iska upaya jaante ho to kripa karke batao." Vridh Brahman bola ki Satyanarayan Bhagwan manovanchit fal ko dene wala hai. Isliye hey Brahman tu unka pujan kar, jiske karne se manushya sab dukho se mukt hota hai. Brahman ko vrat ka vidhan batakar budey Brahman ka roop dharan karne wale Satyanarayan Bhagwan antardhyan ho gaye. Jis vrat ko vridh Brahman ne batlaya hai, mein usko karoonga. Yeh nischay karne par usey raat mein neend bhi nahi aayi. Vah saverey utha. Shri Satyanarayan ke vrat ke nischay kar biksha ke liye chala. Us din usko biksha mein bahut sa dhan mila jis se bandhu-baandhavo ke saath usne Shri Satyanarayan ka vrat kiya. Iske karne se vah brahman dukho se chutkar anek prakaar ki sampatiyo se yukt hua. Us samay se vah Brahman har maas vrat karne laga. Is tarah Satyanarayan Bhagwan ke is vrat ko jo karega vah sab papo se chutkar mauksh ko prapt hoga. Aagey jo prithvi par Satyanarayan vrat karega, vah manushya sab dukho se chut jayega. Is tarah Naradji ne Shri Narayan ka kaha hua yeh vrat tumse kaha. Hey Vipro! Mein ab aur kya kahu? Rishi boley "Hey Munishwaro! Sansar mein is Brahman se sunkar kis kis ne is vrat ko kiya, hum vah sab sunana chahatey hain. Iske liye humarey man mein shradha hai. Sutji boley "Hey Muniyo! Jis Jisne us vrat ko kiya hai vah sab suno. Ek samay vah Brahman, dhan aur aishwarya ke anusaar bandhu-baandhavo ke saath vrat karne ko tayar hua. Usi samay ek lakdi bechney wala ek buda aaya aur bahar lakadiyo ko rakhkar Brahman ke makan mein gaya. Pyaas se dukhi lakadharey ne Brahman ko vrat kartey dekhkar namaskar karkey poochney laga ki aap yeh kya kar rahey hai aur iskey karney se kya fal milta hai? Kripa karkey mujse kahiye. Brahman ne kaha, "Sab manokamnao ko poora karne wala, yeh Satyanarayan ka vrat hai. Iski hi kripa se mere yahan dhan-dhanya aadi ki vridhi hui hai." Brahman se is vrat ke barey mein jaankar lakadhara bahut prasan hua. Charnamrit lekar aur prasad khaney ke baad, apne ghar ko gaya.
Lakadharey ne man mein is prakaar ka sankalp kiya ki aaj gram mein lakdi bechney se jo dhan mujhe milega usi se Shri Satyanarayan Bhagwan ka uttam mein vrat karoonga. Yeh man mein vichar kar, budha lakadhara lakadiya sar par rakhkar Sundernagar mein gaya. Us roz vahan par usey un lakadiyo ka daam pehle dino se chauguna mila. Tab budha lakadhara daam lekar aur ati prasan hokar pakkey kele ki fali, shakar, ghee aur dahi, gehu ka chun ityadi Satyanarayan Bhagwan ki vrat ki kul samagriyo ko lekar apne ghar gaya. Phir usne apne sab bhaiyo ko bulakar vidhi ke saath Bhagwan ji ka pujan aur vrat kiya. Us vrat ke prabhav se budha lakadhara dhan, putra, aadi se yukt hua aur sansar ke samast sukh bhogkar vaikunth ko chala gaya.
No comments:
Post a Comment