Shri Satyanarayan Vrat Katha Teesra Adhyaya
Shri Satyanarayan Vrat Katha
Teesra Adhyaya
Sutji bole, "Hey shresta muniyo! Ab aagey ki katha kehta hoo- suno. Pehle samay mein Ulkamukh naam ka ek budhimaan raja tha. Vah satyavakta aur jeetendra tha. Pratidin dev sthano mein jaata tatha garibo ko dhan dekar unkey kasht door karta tha. Uski patni kamal ke samaan mukh wali aur sati sadhvi thi. Badrashila nadi ke tath par un dono ne Satyanarayan Bhagwan ka vrat kiya. Usi samay mein vahan ek sadhu vaishya aaya. uske paas vyapaar ke liye bahut sa dhan tha. Nav ko kinarey par thehra kar raja ke paas gaya aur raja ko vrat kartey huey dekh kar vinay ke saath poochney laga--Hey rajan! Bhaktiyukt chit se aap kya kar rahey hai? Meri bhi sunaney ki ichcha hai. Yeh aap mujhe bataea.
Raja bola "Hey Sadhu! Apne baandhavo ke saath putradi ke prapti ke liye Mahashaktivaan Satyanarayan Bhagwan ka vrat va pujan kiya ja raha hai.
Raja ke vachan sunkar Sadhu aadar ke saath bola, "Hey rajan! Mujko iska sabh vidhan kahiye, mein bhi aapke katha anusar is vrat ko karoonga. Meri bhi koi santaan nahi hai aur is se nischay hi hogi. Raja se sabh vidhan sunkar, vyapaar se nivrit hokar, aanand ke saath ghar gaya. Sadhu ne apni stri se santaan dene wale us vrat ka samachar sunaya aur kaha ki jab meri santaan hogi tab mein is vrat ko karoonga. Sadhu ne aise vachan apni stri Lilawanti ko kahey. Kuch samay baad, Lilawanti garbawati hui tatha dasve mahiney mein uske ek sunder kanya ka janam hua jiska naam Kalawanti rakha gaya. Tab Lilawanti ne meethe shabdo mein apne pati se kaha ki aapne jo sankalp kiya hua tha ki Bhagwan ka vrat karoonga, ab aap usey kariye. Sadhu bole, Hey priya! Iske vivah par karoonga. Apni patni ko aashvaasan dekar voh nagar ko gaya. Kalawanti pitragrah mein vridhi ko prapt ho gayi. Sadhu ne jab nagar mein sakhiyo ke saath apni putri ko dekha to turant hi doot ko bulakar kaha ki putri ke vastey koi suyogya var dekh kar laao. Sadhu ki aagya paakar doot Kanchan Nagar pahuncha aur vahan par badi khoj kar aur dekhbhaal kar ladki ke vaastey suyogya vanik putra ko le aaya. Us suyogya ladke ko dekh kar, Sadhu ne apne bhai-bandhuo sahit prasan-chit apni putri ka vivah uske saath kar diya. Kintu, durbhagya se vivah ke samay bhi us vrat ko karna bhool gaya. Tab Shri Bhagwan krodhit ho gaye aur usey shrap diya ki voh daarun dukh prapt hoga.
Apne kaam mein kushal sadhu baniya apne jaamata sahit samudra ke samip Ratanpur nagar pahuncha. Aur vahan dono sasur jamai, Chandraketu Raja ke nagar mein pahunche aur vyapaar karney lagey. Ek roz, Bhagwan Satyanarayan ki maya se prerit koi chor raja ka dhan churakar sheegra ja raha tha kintu peechey se raja ke dooton ko aatey dekh kar, chor ne ghabrakar bhaagtey-bhaagtey dhan ko vahin chup-chap rakh diya jahan vah dono sasur jamai thehrey huey they. Dooton ne us sadhu vaishya ke paas raja ke dhan ko rakha dekh kar dono ko baandhkar le gaye aur prasanta se daudtey huey raja ke samip jaakey boley, "Yeh do chor hum pakad kar laye hai, dekh kar agya de." Raja ki agya se unko kathin kaaravaas mein daal diya aur unka dhan raja ne cheen liya. Usi shrap dwara uski patni bhi ghar par bahut dukhi hui aur ghar par jo dhan rakha tha chor churakar le gaye. Sharirik va mansik peeda mein bookh va pyaas se ati dukhit ho ann ki chinta mein, Kalawanti ek Brahman ke ghar gaye. Vahan usne Satyanarayan vrat hotey dekha. Vahan usne katha suni aur prasad grahan kar raat ko ghar aayi. Mata ne Kalawanti se kaha, "Hey putri! Din mein kahan rahi va tere man mein kya hai?" Kalawanti boli, "Hey mata! maine ek Brahman ke ghar Satyanarayan ka vrat dekha." Kanya ka vachan sunkar, Lilawanti Satyanarayan Bhagwan ke pujan ki tayari karney lagi. Lilawanti ne parivar aur bandhuo sahit Bhagwan ka pujan kiya aur yeh var maanga ki mere pati aur daamaad sheegra hi aa jaavey aur prathna ki ki hum sab ka apraadh shama karo. Satyanarayan Bhagwan is vrat se santusht ho gaye aur Raja Chandraketu ko swapna mein dekhayee diye aur kaha ki "Hey rajan! Dono bandhi vaishyon ko prat hi chod do aur unka sab dhan jo tumne grahan kiya hai de do nahi to tera dhan, rajya, putradi sab nasht kar doonga." Raja ko aisa vachan sunakar Bhagwan antardhyan ho gaya. Prat-Kaal Raja Chandraketu ne sabha mein apna swapna sunaya aur dono vanik putro ko kaid se mukt kar sabha mein bulaya. Dono ne aatey hi Raja ko namaskar kiya. Raja meethey vachno se boley, "Hey Mahanubhavo! Bhagyavash aisa katheen dukh prapt hua hai, ab koi bhay nahi hai." Aisa kahkar Raja ne unko naye-naye vastrabushan pehnaye tatha unka jitna dhan liya tha us se duna dhan dilvakar vida kiya. Dono vaishya apne ghar ko chal diye.
No comments:
Post a Comment