Sunday, September 18, 2011

Shri Satyanarayan Vrat Katha Pahla Adhyaya

Shri Satyanarayan Vrat Katha

Pahla Adhyaya


Ek Samay Nem Sharanya Tirth mein Saunik Adi Athaasi Hazaar Rishyo ne Shri Sutji se poocha --"Hey Prabhu, Is Kalyug mein Vaid-Vidya rahit manushyo ko prabhu bhakti kis prakar milaygi tatha unka udhar kaisey hoga? Isliye hey muni shreshta, koi aisa tap kahiye jis se thodey samay mein punya prapt ho tatha mano vanchit fal miley."


Sarvashastra ghyata Shri Sutji boley, "Hey Vaishnavo mein pujya - aap sab ne sarva praniyo ke hit ki baat poochi hai. Ab mein us shreshta vrat ko aap logo mein kahoonga, jis vrat ko Narad ji ne LakshmiNarayan se poocha tha aur Shri LakshmiPati ne Muni Shreshta Narad se kaha tha --so dhyan se suniye.


Ek samay, Yogiraj Narad ji doosro ke hit ki ichcha se, anek lokon mein ghoomtey huey mrityulok mein aa pahunchey. Vahan bahut yoniyon mein janmey huey praya sabhi manushyon ko apne karmo ke dwara anek dukho se peedit dhek kar kis yatna ke karney se nischay hi inkey dukho ka nash ho sakega, aisa man mein sochkar Vishnulok ko gaye. Vahan shwet varna aur char bhujaon wale devon ke eersh Narayan ko (jinkey haaton mein shanka, chakra, gada aur padma they, tatha vanmala pahney huey they) dekhkar stuti karney lagey. "Hey Bhagwan, aap atyant shakti se samparn hai. Man tatha vani bhi aapko nahi pa sakti, aapka aadi, madhya aur ant nahin hai, nirgun swaroop shrishti ke aadi bhoot va bhakto ke dukho ko nasht karney wale hai. Aapko mera namaskar hai."


Naradji se is prakaar stuti sunkar Vishnu Bhagwan boley ki "Hey Munishreshta - Aapke man mein kya hai? Aapka yahan kis kaam ke liye aagman hua hai? Nisankoj kaho." Tab Naradmuni boley, "Mrityu lok mein sab manushya jo anek yoniyo mein paida huey hai, apne apne karmo ke dwara anek prakaar ke dukho se dukhi ho rahey hai. Hey Nath muj par daya rakhtey hai to batlaeay ki un manushyo ke sab dukh thodey se hi prayatna se kaisey door ho saktey hai?" Shri Vishnu Bhagwanji boley ki "Hey Narad, Manushyo ki bhalai ke liye tumne yeh bahut achchi baat poochi. Jis kaam ke karney se manushya moh se choot jaata hai, vah mein kehta hoo suno. Bahut punya ka deney wala, swarg tatha manushya lok dono mein durlab ek vrat hai. Aaj mein premvash hokar tumse kehta hoo. Shri Satyanarayanji ka vrat achchi tarah vidhan purvak karke manushya turant hi yahan sukh bhogkar marne par moksh ko prapt hota hai."


Shri Vishnu Bhagwan ke vachan sunkar Narad ji ne poocha ki us vrat ka kya fal hai, kya vidhan hai, aur kisne yeh vrat kiya hai aur kis din yeh vrat karna chahiye, kripa karke vistaar se bataiye. Shri Vishnu Bhagwan boley, "Dukh shok aadi ko door karne wala, dhan dhanya ko badane wala, saubhagya tatha santaan ko dene wala, sab sthano par vijaye karne wala, Shri Satyanarayan Swami hai. Bhakti aur shradha ke saat kisi bhi din, manushya Shri Satyanarayan ki sham ke samay, Brahmano aur bandhuo ke saath dharmaparayan hokar puja karey, bhakti bhav se savaya prasad de. Gehu ke abhaav mein saathi ka churan, shakar tatha gud le aur sabh bhakshan yogya padarath jama karke savaye arpan kar devey tatha bandhuo sahit bhojan karavey. Bhakti ke saath swayam bhojan karey. Nritya aadi ka aachran kar Shri Satyanarayan Bhagwan ka smaran kar samast samai vyateet karey. Is tarah ka vrat karney par manushyo ki ichcha nischay hi poori hoti hai. Vishesh kar kal kaal mein bhoomi par yahi moksh ka saral upaya hai.


No comments:

Post a Comment